WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

CoLoUrS-oF-LiFe - Topics
Create Your Own App Store

* CoLoUrS-oF-LiFe > Topics


Subject: Shayri (Ghazal)
Replies: 8 Views: 2703

sajjad85 31.07.09 - 09:12pm
..... *

sajjad85 31.07.09 - 09:14pm
Mein nazar se pee raha hoon ye samaan badal na jaaye
Na jhukaao tum nigaahain kahin raat dhal na jaaye
Abhi raat kuch hai baaqi na uthaa niqab saaqi
Tera rind girtay girtay kahin phir sanbhal na jaaye
mere ashk bhi iss mein ye sharab ubal na jaaye
mera jaam choonay waalay tera hath jal na jaaye
Meri zindagi ke maalik mere dil pe hath rakh de
Teray aanay ki khushi mein mera dum nikal na jaaye
Mujhay phoonknay se pehle mera dil nikal lena
Ye kisi ki hai amanat kahin sath jal na jaye *

sajjad85 3.08.09 - 01:45pm
Jub teri dhun mein jiya karte the....
Hum bhi chup chaap phira karte the
Aankh mein pyaas huwa karti thi....
Dil mein toofan utha karte the
Log aate te ghazal sun'ne ko...
Hum TERI baat kiya karte the
Sach samajhte the tere waadon ko...
Raat din ghar mein raha karte the
Kisi veerane mein tujh se mil kar....
Dil mein kya phool khila karte the
Ghar ki Deewar sajane ke liye...
Hum TERA naam likha karte the
Wo bhi kya din te bhula kar Tujh ko....
Hum Tujhe yaad kiya karte the
Jub Tere dard mein dil dukhta tha....
Hum Tere haq mein Dua karte the
Bujhne lagta ta jo chehraa tera....
Daagh seenay mein jalaa karte the
Apne jazbon ki kamandon se tujhe...
Hum bhi taskheer kiya karte te
Apne aansoo bhi sitaaron ki tarha...
Tere honton pe saja karte the
Cherta tha Gham-e-Dunya jub bhi....
Hum Tere ghum se gila karte te
KAL TUJHE DEKH KE YAAD AAYA HAI....
HUM SUKHANWAR BHI HUWA KARTE TE......!!!!!!! *

sajjad85 3.08.09 - 01:50pm
Azaab-e-Deed mein aankhen lahoo lahoo kar ke....
Meiin Sharamsar huwa Teri justujoo kar ke
Khandar ki teh se bareeda badan saron ke siwa....
Mila na kuch bhi khazano ki aarzoo kar ke
Suna hai shehr mein zakhmi dilon ka melaa hain...
Chalen ge hum bhi magar pairahan rafoo kar ke
Musafat-e-Shab-Hijraan ke baad bhaid khula....
Hawa dukhi hai! Charaghon ki aabro kar ke
Zameen ki pyaad usi ke lahoo ko chaat gayi....
Wo khush huwa tha samandar ko aabjoo kar ke
YE KIS NE HUM SE LAHOO KA KHIRAJ PHIR MAANGA?....
ABHI TU SOYE TE MAQTAL KO SORKHAROO KAR KE
Jaloos-e-Ahl-e-Wafa kis ke darr pe phuncha hai....
Nishaan-e-Tauq-Wafa zeenat-e-Galoo kar ke
Ujaar roth ko gulaabi banaye rakhti hai....
Hamari aankh teri Deed se wazoo kar ke
Koi tu Habs-e_Hawa se ye poochta MOHSIN....
Mila hai kya osey kalyon ko be-namoo kar ke!!!!!!!!!!!!!! *

sajjad85 3.08.09 - 02:02pm
abb bhala chhorh k hamm kya kartey
shaam k waqt safar kya kartey
teri masroofiyatain jaante hain
apne aaney ki khabar kya kartey
jab sitarey hee nahee'n mill paye
le k hamm shams o qamar kya kartey
wo musafir hi khuli dhoop ka tha
saaye phaila k shajar kya kartey
khaak hi awwal o aakhir thhehri
karr k zarrey ko ghauhar kya kartey
raaye pehley se banali tooney
dill mai abb ham terey ghar kya kartey
ishq ne saarey saliquey bakhshey
husn se kasb e hunar kya kartey
(PARVEEN SHAKIR) *

sajjad85 11.08.09 - 05:13am
Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey,
Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa,
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,
Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa,
............
Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien,
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun,
Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa
............
Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,
Teri Aass Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa
............
Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham,
Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya,
Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa
............
Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa,
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa,
Ussay Bhool Jaa ......
............
Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,
Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa
............
Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,
Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya Ussay Rookney Sey Husool Kya,
Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja... *

sajjad85 11.08.09 - 08:50pm
poora dukh or aadha chand!
hijir ki shab or aisa chand!
.
din main wehshat behel gai thi
raat hui or nikla chand
.
kis maqtal se guzra hoga
itna sehma sehma chand
.
yadon ki aabad gali main
ghoom raha hai tanha chand
.
meri karwat par jag utthay
neend ka kitna kaccha chand
.
mere munh ko kis hairat se
dekh raha hai bhola chand
.
itnay ghane badal ke peche
kitna tanha hoga chand
.
aansu roke noor nahay
dil darya tan sehra chand
.
itne roshan chehre par bhi
suraj ka hai saaya chand
.
jab pani main chehra dekha
tu ne kis ko socha chand
.
burgad ki ek shakh hata kar
jane kis ko jhanka chand
.
badal ke resham jhoole
bhour samay tak soya chand
.
raat ke shane par sar rakhe
dekh raha hai sapna chand
.
sukhe patton ke jhurmat main
shabnam thi ya nannha
.
hath hila kar rukhsat hoga
us ki surat hijir ka chand
.
sehra sehra bhatak raha hai
apne ishq main saccha chand
.
raat ke shayad aik baje hen
sota hoga mera chand
**
[PARVEEN SHAKIR] *

sajjad85 12.08.09 - 09:52am
Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai,
Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai,
.
Ki Baat Nahi Thi Un K Dil Tak Jana Tha,
Lambi Doori Tey Karne Mein Waqt To Lagta Hai,
.
Ganth Agar Lag Jaey To Phir Rishte Hon Ya Dauri,
Laakh Karein Koshish Khulne Mein Waqt To Lagta Hai,
.
Humne Illaj-e-Zakhm-e-Dil To Dhoond Lia Lekin,
Gehre Zakhmoon Ko Bharne Mein Waqt To Lagta Hai,
.
Piyar Ka Pehla Khat Likhne Mein Waqt To Lagta Hai,
Naey Parindon Ko Urrne Mein Waqt To Lagta Hai
*

sajjad85 7.11.10 - 12:08pm
Mere kareeb to aao ke bahut Udaas hoon main
Bus aaj Toot ker chaaho ke bahut Udaas hoon main
Kisi bhi Jhoote Dilase se Dil ko behlaao
Koi Kahani sunao ke bahut Udaas hoon main
Andheri Raat hai kuch bhi Nazar nahi aata
Sitaare Torr ker lao kee bahut Udaas hoon main
Suna hai Tere Nagar main Khushi bhi milti hai
Mujhe Yaqeen dilao ke bahut Udaas hoon main
Ye Shaam youn hi guzar jaayegi dabe paaon
Dosti ka Geet sunao ke bahut Udaas hoon main
(SAHIR LUDHYANVI) *


* Reply
* CoLoUrS-oF-LiFe Forum


Search:
topics replies


* CoLoUrS-oF-LiFe

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store