WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

CoLoUrS-oF-LiFe - Topics
Create Your Own App Store

* CoLoUrS-oF-LiFe > Topics


Subject: Shaayri (Nazam)
Replies: 12 Views: 3261

sajjad85 6.03.09 - 09:40am
Urdu nazm. *

sajjad85 6.03.09 - 10:06am
samajh lena woh main hoon...

agar kabhi meri yaad aaye
tau diyon ki roshni ko dekhna
jo roshni bujhti huwi dikhaai de
samajh lena woh main hoon...
agar kabhi meri yaad aaye
tau kitabon mein pare huwe patton ko dekhna
jo patta sab se ziyada zard dikhaai de
samajh lena woh main hoon...
agar kabhi meri yaad aaye
tau bahar mein phoolon ko dekhna
jo phool khuhsboo na de
samajh lena woh main hoon...
agar kabhi meri yaad aaye
tau aasmaan ki taraf badlon ko dekhna
jo tukra sab se alag dikhaai de
samajh lena woh main hoon...
agar kabhi meri yaad aaye
tau apne dil se poochna
jo woh jawab de
b]samajh lena woh main hoon...[/b] *

sajjad85 15.03.09 - 09:07am
Suna hai............!!!!

Suna hai
Chand taroon main
jinhien dhondo
Wo ik din mill bhi jatay hain
Suna hai
Bheegti barish ki raatoon main
Jinhien socho
Wo ik din pass aatay hain
Suna hai
Samander per kharay ho ker
Jinhien tasawar main dekho
Wo ik din unkahi baatoon ko
Khud hi sun bhi laitay hain
Mager jana
Sunnay aur sunannay ki
Sabhi baatien poori nahien hotien
Muqader to nahien hota
Naseeba to nahi hota
To tum bhi
Bhula do to hi acha hai *

sajjad85 24.03.09 - 03:50am
Agar main dur ho jaon
To palkon ko jhapak daina
Agar ansu koi giraay
Samajh lena wo main hoon....

Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu giraay us main
Jo ruk jaye ga hounto per
Samajh lena wo main hoon....

Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aajayee
Samajh lena wo main hoon....

Jo chal jayee hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho sab say
Samajh lena wo main hoon....

Jo zeeyada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi ayee
Samajh lena wo main hoon....

Agar tum bhoolnaa chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh lena wo main hoon.... *

sajjad85 31.03.09 - 11:33pm
Bicharne se zara pehley
Bicharne se zara pehle
Tumhein bhi soch laina chahye tha
Tumhein bhi soch laina chahye tha
Kay youn chahat ko thukraya nahi karte
Kay youn beetay dinon ko bhoolna acha nahi hota
Kay youn anjan ban kar chain se jeena hamare waastay
Mumkin nahi hoga
Tumhein bhi soch laina chahye tha
Kay wo baatein jo hum ik doosre se kar chukay hain
Ab kabhi wapis na ayien gi
Kay wo lamhe jo hum ik doosre mein jee chukay hain
Phir kabhi zinda na hon gay
Bicharne se zara pehle
Tumhein bhi soch laina chahye tha *

sajjad85 31.03.09 - 11:39pm
Khuwab Martai nahi
Khuwab dil hain na aankhain na sansain joo
raiza raiza hwai tou bikher jain gai
ki moot sai yeh bhi mar jain gai
khuwab martai nahi
khuwab tou rooshni hain nawa hain hawa hain
joo kaalai pahaaroon sai ruktai nahi
zulm kai doozakhoon sai bhi tai nahi
rooshni aor nawa aor hawa kai alam
muqtaloon mei pohanch kar bhi jhuktai nahi
khuwab tou hurf hain
khuwab tou noor hain
khuwab suqraat hain
khwab mansoor hain *

sajjad85 2.04.09 - 04:28pm
MOHABBAT ROG HAI JANA
Mohabbat ROG hai jana
Bada sanjog hai jana
Bade Boodhe batatey hein
Kaye qisaey sunatey hein
Magar hum jaantey kab thay
Ye sub kuch mantey kab thay
ye batein zikar k qabil
Bhalla gerdantey kab thay
Ana k takht per bethay
Hmein maloom kab tha
Tumhari yaad ka gehra samandar jaag utha hai
Qalam jab bhi uthao'n mein
Ghazal jab gungunao'n mein
Mere ander se bus
Teri awaz aati hai
Qalam jab tujh ko likhta hai
Tou bus likhta hi jata hai
Yehi liktha hai tere bin
Koi lamha nahin guzra
Guzarna bhi nahin shayad
Humari maut tak jana
Mohabbat rog hai jana *

sajjad85 2.08.09 - 05:47am
agar kabhi meri yaad aye
to chand raaton ki nurm
dil geer roshni main
kisi sutare ko dekh laina,
agar woh nakhle fulaq se
urr ker tumhare qudmoon
main aa gerai to yeh jaan
laina wo isteyara tha mere
dil ka.....agar nay aye
magar yeh mumkin hi kis terah
hai keh tum kisi per nigah
dalo to us ki deeware jaan
na totte
woh apni husti na bhool jay,
agar kubhi meri yaad aye
guraiz karti huwa ki lahron
pe haath rekhna
main khushbwoo main
tumhain miloonga
mujhy gulabon ki pettiyoon
main telaash kerna
main oos qatroon ke aaiynoon
main tumhai milonga,
agar sitaron main, oos
qatron main, khushbwoon
main na paoo mujhe ko to
apne qadmoon main deikh
leina mein gird hoti mosafton
main tumhai milonga
kahein pe roshen cheragh
dekho to jaan leina keh
her pattenge key saath main
bhe bikher chuka hoon
tum apne hathoo se in
pattangoon ke khaak
darya main daal deina
main khak ben ker
samandroon main safar
keronga kisi na dekhey
howe jezeere pe ruk ke
tum ko sadayein donga
sumendroon ke safar pe
neklo to us jazeere
pe bhe uterna
=
(AMJAD ISLAM AMJAD) *

sajjad85 4.08.09 - 02:13pm
KASAK
Chalo tasleem karte hain
Bahot si chaahatein paayii
Bahot si raghbatein dekhi
Bahot si ulfatein simti
Zara si umr mein hum ne
Kayii rangon ke pal dekhe
Kayii sadiyon ka sukh dekha
Kayii mausam naye paaye
Zara si umr me humne
Jo sab ko mil nahin sakte
Vo taare humne paaye the
Nazaare hum ne paaye the
Sitaare hum ne paaye the
Magar vo aik lamha tha
Vo kitna sakht lamha tha
Kasak jiski nahin jaati
Khalish banke jo atka hai
Humare dil ko dastaa hai
Har aik lamha sadaa pal pal
Ke vo hum se jab bichada tha
Humey tanhaaiiyaan de kar
Humare saare sukh lekar
Mita kar saari taabeerein
Bhula kar saari taqdeerein
Unhi khwaabon ke jo usne
Humey pal pal dikhaye the
Vo tanha kar gayaa humko
Musalsal dagh furqat ka
Aik aisa de gayaa hum ko
Achaanak aik lamhe mein
Judaa jab vo huwa humse
Judaa jab vo huwa humse *

sajjad85 12.08.09 - 09:57am
Titliyon k mosam main,
Nochna ghulabon ka,
Reet is nagar ki hay or janay kab say hay.
Is shahar k bashinday,
Boo k beej nafrat k,
Intizar kartay hain,Fasal ho mohabat ki,
Chod kar haqeqat ko,Dhondna sarabon ka,
Reet is nagar ki hay or janay kab say hay.
Tum abi naye ho na,Is liya preshan ho,
Asman ki janib,
Is tarah say mat dekho,
aftain jub ani hon,
tootna sitaroon ka,
Reet is nagar ke hy or jany kab say hy,
ajnbi musafir say,
ajnabi fazaoon men,
apny her taaluq ka, Daimi samajh laina,
Or jab bicharna to, Mangna duaon ka,
Reet is nagar ki hay or janay kab say hay... *

1sarfraz 15.08.09 - 07:53am
Raat abhi tanhaai ki pehli dehleez pay hai,
Aur meri jaanib apnay hath badhaati hai,
Soch rahi hoon,
In ko thaamoon,
Zeena zeena sannaton kay teh-khaanon mai utroon,
Ya apnay kamray mai thehroon,
Chaand meri khidki pr dastak det hai....

By: Parveen Shakir *

salamah 23.06.10 - 08:03pm
YEH MILTIE HE KHUDA KE 'AASHIQO SEE ''
. . .NAZM BA'OONWAAN.
ZUBAAN -E- ISHQ.
ARIFBILLAH HAZR AT -E-AQDAS MOULANA SHAH HAKEEM MUHAMMAD AKHATR SAHEB R.A.
DARE RAZE SHRIAT KHOLTIE HE,
ZUBAANE ,ISHQ JAB BOLTIE HE.
****
KHIRAD MEHWA -E- HAIRAT OOS ZUBAA SE.
BAYAAN KARTIE HE JO AAHO FUGHAA SE,
****
JO LAFZO SE HOEWE ZAAHIR MA'AANH
WOH PAA SAKTE NAHIE DARDE NIHAANIE.
*****
MUHABCT DIL KIE KEHTH HE KAHAANI,
KAHAA PAA'O GE SADRA BAAZEGHA ME.
MAGAR DOLAT YE MILTIE HE KAHAA SE.
***** *

salamah 23.06.10 - 08:03pm
YEH MILTIE HE KHUDA KE 'AASHIQO SEE ''
. . .NAZM BA'OONWAAN.
ZUBAAN -E- ISHQ.
ARIFBILLAH HAZR AT -E-AQDAS MOULANA SHAH HAKEEM MUHAMMAD AKHATR SAHEB R.A.
DARE RAZE SHRIAT KHOLTIE HE,
ZUBAANE ,ISHQ JAB BOLTIE HE.
****
KHIRAD MEHWA -E- HAIRAT OOS ZUBAA SE.
BAYAAN KARTIE HE JO AAHO FUGHAA SE,
****
JO LAFZO SE HOEWE ZAAHIR MA'AANH
WOH PAA SAKTE NAHIE DARDE NIHAANIE.
*****
MUHABCT DIL KIE KEHTH HE KAHAANI,
KAHAA PAA'O GE SADRA BAAZEGHA ME.
MAGAR DOLAT YE MILTIE HE KAHAA SE.
***** *


* Reply
* CoLoUrS-oF-LiFe Forum


Search:
topics replies


* CoLoUrS-oF-LiFe

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store