WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

CoLoUrS-oF-LiFe - Topics
Create Your Own App Store

* CoLoUrS-oF-LiFe > Topics


Subject: Intekhab
Replies: 5 Views: 1064

sajjad85 22.02.09 - 07:24pm
Selection from Some of my favourite poetry.. *

sajjad85 22.02.09 - 07:28pm
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta

Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Kabhi zameen to kabhi aasmaan nahin milta
.
Dekhiye jise bhi gum hai apne aap main
Zubaan mili hai magar hum-zubaan nahin milta
.
Bhuja saka hai bhala kaun waqt k shaule ko
Yeh aisi aag hai e dhuan nahin milta
.
Ae rab aisa nahin k tere jahaan main mohabbat nahin
Magar jahaan iski ummeed ho wahan nahin milta *

sajjad85 25.02.09 - 12:52pm
aaj tanhaayi kisi hamdam-e-dairien ki tarah........
karne aayi hai meri saaqii-gari shaam Dhaley........
muntazir baithey haiN ham donoN ke maahtaab ubhre........
aur teraa aks jhalakne lage har saaye taley........
-----------
(Faiz Ahmed Faiz) *

sajjad85 25.02.09 - 01:07pm
Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN

Khvaab-nagar hai aaNkheN khole dekh rahaa huuN........
us ko apnii jaanib aate dekh rahaa huuN........
-----
kis kii aahaT qarya qarya phail rahii ha........i
diivaaroN ke rang badalte dekh rahaa huuN........
-----
kaun mire jaaduu se bach kar jaa saktaa hai!........
aaiinaa huuN, sab ke chehre dekh rahaa huuN........
-----
darvaaze par tez havaaoN kaa pahraa hai........
ghar ke andar chup ke saaye dekh rahaa huuN........
******
Amjad Islam Amjad
****** *

sajjad85 26.02.09 - 12:01pm
....
Mohabat khud batati hai
kahan kis ka thikana hai
Kisy ankhon may rakhna hai
kisy dil may basana hai
Reha karna ha kis ko or kisy zanjeer karna hai
Mitana ha kisy dil se kisy tehreer karna hai
Ghronda kab girana hai
kahan tameer karna ha
Isay malum hota ha safar dushwar kitna hai
Kisi ki chashm-e girya may chupa iqrar kitna hai
Shajar jo girnay wala hai
wo saya dar kitna hai
Safar ki har saubat aur tamazat yad rakhti hai
Jisy saray bhula dalain Mohabat yaad rakhti hai! *

sajjad85 4.03.09 - 08:16pm
zindagii ke mele men
.
zindagii ke mele men
Khvaahishon ke rele men
tum se kyaa kahen jaanaa
is qadar jhamele men
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar men
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii hai
baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do ghaDii men hotii hain
dard ke samandar men
anginnat jaziire hain
beshumaar motii hain
aaNkh ke dariiche men
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat men
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilon par
TuuT TuuT jaataa hai
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste men kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baaton me.n
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalon ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele men
tum se kyaa kahen jaanaaN
is qadar jhamele me.n
-------------
Amjad Islam Amjad
-----------
==========================
meaning of difficult words
==========================
Khvaahish = desire;
baKht = fate;
giraanii = deficiency
laamakaanii = homelessness/having no roots;
hijr = separation
taKht = throne;
taKhtii = plank of wood
anginat = countless;
jaziiraa = island
beshumaar = innumerable;
dariichaa = window
fasiil = ramparts;
taKhaliyaa = solitude
guftaguu = conversation;
izaafii = additional/extra
========================== *


This topic is locked.
* CoLoUrS-oF-LiFe Forum


Search:
topics replies


* CoLoUrS-oF-LiFe

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store