WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

CoLoUrS-oF-LiFe - Topics
Create Your Own App Store

* CoLoUrS-oF-LiFe > Topics


Subject: Ibn-e-Insha
Replies: 20 Views: 8851

sajjad85 19.02.09 - 04:14am
Poetry of Ibn-e-Insha. *

sajjad85 23.02.09 - 04:11am
Sab MaayaHai
By insha


sab maya hai ,
sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
sab maya hai
****
haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
sab maaya hai
****
ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi
jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
sab maaya hai
****
maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
sab maya hai
****
kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ?
sab maaya hai
****
jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
tum jantay hoo - hum kiyonkar uss ka naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai
sab maaya hai
****
woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aa uss nay bhi pay'ghaam yeehi bhijwaya hai
saab maya hai
****
jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
sab maaya hai
****
jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai
iss shehar say door - aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
sab maaya hai
**** *

sajjad85 6.03.09 - 08:56am
Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe
Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe
Hum har burj main ghatte ghatte subha talak ghumnaam howe
------
Un logo.n ki baat karo jo ishq main khush unjaam howe
Najd main Qais yahan per Insha khwaar howe, na-kaam howe
------
Kis ka chamakta chehra lain, kis soraj sey maangain dhoop
Ghor undhaira cha jata hay, khilwat-e dill main shaam howe
------
Aik sey aik junoo ka mara is basti main rehta hay
Aik humain hushiyaar they yaaro, aik humain ba-naam howe
------
Shouq ki aag, nafas ki garmi, ghatte ghatte sard ho na ho?
Chah ki raah dikha kar tum tu waqf-e dareecha-o baam howe
------
Un sey bhahar-o baagh ki baatain kar k jee ko dukhana kya
Jin ko aik zamana guzra kunj-e qafas main raam howe
------
Insha sahab pho phatti hay, taarey dobeby, subha hoi
Baat tumhaari maan k hum tu shab bhi be-araam howe *

sajjad85 12.03.09 - 12:21pm
DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY
Dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay ise jalne do
is aag sey logo door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
hum raat dina yoon hi ghulte rahain, koi pochey k hum ko na pochey
koi sajan ho ya dushman ho, tum zikr kisi ka mat chiaro
sab jaan k sapne dekhtey hain, sab jaan k dhokey khaatey hain
ye dewaane sada hi sahi, per itne bhi sada hain yaroo?
kis meethi tapish k malik hain thitharti hoi aag k angiyaarey
tum nay tu kabhi sainka hi nahi, tum kya samjho, tum kya jano
dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey tum tu door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
har mehfil main hum donoon ki kya kya nmahi batain hoti hain
in baatoon ka mafhoom hay kya, tum kya samjho, tum kya jano
dill chal k laboon tak aa na saka, lub khul na sake ghum ja na saka
apna tu bas itna qissa tha, wo waqt kahan wo baat kahan
jab marte they marne na diya, abb jeetey hain abb jeene do
dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey Insha door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
logoo.n ki tu baatain sachchi hain....aur dill ka bhi kehna karna howa
per baat humaari mano tu...ya un k bano ya apney raho
raahi bhi nahi, rehzan bhi nahi, bijli bhi nahi, khirman bhi nahi
aisa bhi bhala hota hay kaheen, tum bhi tu ajab deewane ho
is khail main har baat apni kahan, jeet apni kahan maat apni kahan
ya khail sey yak-sar uth jaao, ya jaati baazi jane do
DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY *

sajjad85 29.03.09 - 03:44am
tum hansti achi lagti ho.......

tum waqi achi larki ho
yah mujh ko achi lagti ho
cherey ki udasi door karo
kiyun ji apna ranjoor karo
woh waadey wafa nibhaney ke
tum bhool gaein mujhay yaad rahe
kiya shaan tumhari ghat jati
jo eafa karne aa jatein??
abb kin batoon main khoi ho
abb kin sochoon main dobi ho?
cherey ko zara uthao tou
aankhain bhi chaar karo dekho
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo
jub hum ne kaha tha man jao
aur c ke hum ko mat jao
tum sunti thein chup reti thein
cherey pe liye udasi si
tum bekal bekal rehti thein
jub hum ne kaha tha ghum choro
ghum c dil ki baat kaho
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo
woh khat jo tumhara aaya tha
woh khat tha yah afsana tha
ger peet hamari chaye thi
jholi ko zara pehlana tha
haan eid tou aati rehti hai
per deed tou baqi rehti hai
ger eid per tum hi aa jatein
aur deed tumhari ho jati
woh baat tou aani jaani thi
per ban gai kahani si
abb uss ka qissa pak karo
tum hansti achi lagti ho
cherey ki udasi door karo *

sajjad85 29.03.09 - 03:49am
Darwaaza khula rakhna......

Dil dard ki shiddat say khoon gushta-o-see parah
Iss sheher main phirta hay ek wehshi aawarah
Shayaer hay keh aashiq hay,jogi hay keh banjara
Darwaaza khula rakhna..............

Seney sey ghata uthay,aankhoon sey jhari barsey
Phagan kaa nahin baadal,jo char ghari barsey
Barkha hay yeh bhadoon ki,barsey tou bari barsey
Darwaaza khula rakhna...........

Aankhoon main tou ek aalam,aankhoon main tou dunya hey
Hoonton peh magar mohrein,monh sey kuch nahin kehta hey
Kis cheez ko kho betha hey,kiya dhondney nikla hey???
Darwaaza khula rakhna.........

Haan tham mohabbat ki ger tham sakay doori......
Saajan hay tera saajan,abb tujh sey tou kiya chori
Yeh jiss ki mana di hey basti main teri gori..........
Darwaaza khula rakhna...........

Shikwon ko utha rakhna,aankhoon ko bicha rakhna
Ek shamma dareechay ki chokhat peh jala rakhna
Maayus naa phir jaye,haan paas-e-wafa rakhna
Darwaaza khula rakhna.......... *

sajjad85 29.03.09 - 04:02am
Chand K Tammanaai
.
shehr-e dill ki galiyoo.n main
shaam sey bhataktey hain
chaand k tammanaai
be-qarar sodaai
dill gudaaz tareeki
jaa.n gudaaz tanhaai
roh-o jaan ko dasti hay
roh-o jaan main basti hay
shehr-e dill ki galiyoon main
taak-e shab ki bailoo.n per
shabnamee.n sarakshoo.n ki
be-qarar logoo.n nay
be-shumaar logoo.n nay
yaad-gaar chorhi hay
itni baat thori hay?
_
sad-hazaar baatain thee.n
heela-e shakaibaai
soratoo.n ki zaibaai
qamatoo.n ki ranaai
in siyaah raatoo.n main
aik bhi na yaad aai
ja-baja bhataktey hain
kis ki raah taktey hain
chaand k tammanaai
ye nagar kabhi pehley
is qadar na weeraa.n tha
kehne waaley kehtey hain
qayaa-e nigaraa.n tha
khair apney jeene ka
ye bhi aik samaa.n tha
_
aaj dill main weeraani
ab'r ban k ghir aai
aaj dill ko kya kaheye
ba-wafa na harjaai
apni wehshat-e dill k
bun lieye hain afsaaney
khush khayyal duniya nay
garmiyaa.n tu jaati hain
wo rutain bhi aati hain
jab malool raatoo.n main
dostoo.n ki baatoo.n main
jee na chain paay ga
aur aoub aay ga
aahatoo.n sey gonjey gi
sheh-e dill ki pehnaai
aur chaand raatoo.n main
chandni k shaidaai
har bahaane niklain gai
aazmaane niklain gai
aarzo ki gairaai
dhoondh'ne ko ruswaai
sard sard raatoo.n ko
zard chaand bakhshey ga
be-hisaab tanhaai
be-hijaab tanhaai
shehr-e dill ki galiyoon main *

sajjad85 29.03.09 - 04:07am
kaisi bhi ho is shakhs ki oqaat azizo

Kaisi bhi ho is shakhs ki oqaat azizo
Insha ki ghanimat hay abhi zaat azizo
is shehr-e khirad main kahan miltey hain dewaane
paida tu karo is sey mulaqaat azizo
paband-e salasil hay, pe zindaan-e jaha.n main
rindaan-e jaha.n ki si karey baat azizo
hay mufli-o mohtaaj pe hum nay tu dekha
is ko ba dar-e qibla-e hajaat azizo
paya hay magar khaak basar eh'el-e talab main
utri ho jaha.n husn ki baraat azizo
is shakhs nay yoon koun sa maidaa.n nahi mara
bas ishq ki baazi main hoi maat azizo
us main bhi raha haath pe shiraza sukhan ka
ushshaaq k matlub ki ghazliyaat azizo *

sajjad85 29.03.09 - 04:12am
Aati hai Pawan, Jaati Hai Pawan

joogi ka bana kar bhais phiray
barhan hai koye, jo dais phiray
seenay mein liyeah seenay ke dukhan
aati hai pawan, jaati hai pwan
pholoo nay kaha, kantoon nay kaha
kuch dair thehar, daman na chura
par iss ka chalan, wehshee ka chalan
aati hai pawan, jaati hai pawan
iss ka tu kaheen maskun na makaan
awara ba dil, awara bajaaan
logoon kay hain ghar, logoon kay watan
aati hai pawan, jaati hai pawan
yahaan koun pawan ke negaah mein hai
woh jo rah mein hai, bus raah mein hai
parbat keh nagar, sehra keh chaman
aati hai pawan, jaati hai pawan
ruknay ke nahi jaa, uth bhi chukoo
insha jee chaloo haan tum bhi chaloo
aur saath challay dukhta howa mun
aati hai pawan, jaati hai pawan *

sajjad85 29.03.09 - 04:18am
Saaye Sey
.
kyu merey saath saath aata hay?
meri manzil hay be-nishaa.n na-daa.n?
saath mera tera kahan na-daa.n?
thak gai paoo.n, par gagi chaaley
manzilain timtima rahi hain door.......!
bastiyaa.n aur ja rahi hain door.........!
main akela chaloo.n ga ay saay
koun eh'd-e wafa nibhata hay?
kyu merey saath aata hay?
tu abhi ja miley ga sa'yoo.n sey
main kahan jaoo.n? main kahan jaoo.n?
kis ki aghoosh main amaa.n paoo.n? *

sajjad85 29.03.09 - 04:23am
Koun Jane Mere Gham Ki Hakikat Kya Hai

(*)Tugh ko maloom nahi , tugh ko bhala kya maloom(*)
tere chehre k yeh saada se achoote se nakoosh
mare takhi-ul ko kya rang aata kerte hain
tere zulfien , tere aankhen , tere aariz , tere hont
kaisi anjaani si masoom khata kerte hai
(*) khilwat-e-bazm ho Ya Jilwat-e-tanhai ho (*)
tera Paiker meri nazron main ubhar aata hai
koi sa-at ho , koi fiqr ho , koi mahol
mugh ko her simat tera husan nazar aata hai
(*) Chalte chalte qadam jo aap tha-tak jate hain(*)
sochta hoon keh kahin tu ne pukara to nahi
gum si ho jati hai nazren to khayaal aata hai
iss main pinhaan kahin teri aankhon ko ishara to nahi
(*) dhoop main saaya bhi hota hai Guraizan Jis dam(*)
tere zulfen mare shaano pe bikhar jatee hain
thak ke sir jab kisi pathar pe ti-kaa deta hoon
teri baahen meri gardan main ut-tar jaati hain
(*) aankh lagti hai to dil ko yeh guman hota hai(*)
sir-e baalen koi baitha hai baade pyaar k saath
(*) Kis ko maloom mere khaboon ki tabiir kya hai(*)
kon jaane mere gham ki haqeeqat kya hai
main samagh loon bhi agar iss ko muhabbat ka janoon
mugh ko iss ishq-e-janoon khaiz se nisbat kya hai
(*) Tugh ko maloom nahi toogh ko na ho ga maloom(*)
tere chehre k yeh saada se achoote se nakoosh
mere takhi-ul ko kya rang aata kerte hai
tere zulfain , tere aankhain , tere aariz , tere hont
kaisi anjaani si masoom khata kerte hain *

sajjad85 29.03.09 - 04:26am
Ghoom Raha Hai Peet Ka Payasa
daikh tu goori kissay pukaaray
basti basti dawaray dawaray
bar mein jhooli hath mein kasa
ghoom raha hai peet ka payasa
dil mein aag dabi hai, darna
ankhoon mein ashkoon ka jharna
lab par dard ka bara masa
ghoom raha hai peet ka payasa
kantoon say chalni hain paon
dhoop mali chehray par chaoon
aas mali ankhoon mein naras
ghoom raha hai peet ka payasa
baat humari maan kay goori
sab duniya say choori choori
ghoongat ka pat khool zara sa
ghom raha hai peet ka payasa
sourat hai insha jee ke see
baal parayshan, ankhain neechi
naam bhi kuch insha jee sa
ghoom raha hai peet ka payasa
souch nahi sajan ko bula lay
aagay barh, seenay say laga lay
tujh bin day issay koun dalasa
ghom raha hai peet ka payasa *

sajjad85 29.03.09 - 04:32am
Uss Angan Ka Chand
sham samay aaik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein
chand ko utaray daikha hum nay, chand bhi kaysa ? poora chand
insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
mulkoon mulkon, shehroon shehroon, kaisa kaisa daikha chand
har aik chand ke apni dhuj thi, har aik chand ka apna roop
laykin aisa roshan roshan, hansta battain karta chaand ?
dard ke tees tu uth'ti thee, par itni bhi , bharpor kabhi ?
aaj say pehlay kab utra tha dil mein itna gehra chaand !
hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
yeah bhi chand ka sapna ho ga, kaisa chand, kahaan ka chand ?
insha jee duniya waloon mein bay sathi bay doost rahay
jaisay taroon kay jhurmat mein tunha chand, akayla chand
in ka daman iss doulat say khali ka khaali hee raha
warna tha duniya mein kitnay chandi chand aur soona chand
jug kay charoon koot mein ghooma seelani hayraan howa
iss basti kay iss koochay kay iss angan mein aisa chand ?
ankhoon mein bhi chitwan mein bhi chand he chand jhalaktay hain
chand hee teeka, chand hee jhoomar, chehra chand aur matha chand
aik yeh chand nagar ka baasi jiss say door raha sunjoog
warna iss duniya mein sab nay chaha chand aur paya chand
anbar nay dharti par phaikee noor ke cheent udaas udaas
aaj ke shab tu andhi shab th, aaj kidhar say nikla chand ?
insha je yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yeahi hai
sab ke apni apni ankhain, sab ka apna apna chand
apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa
jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand
chanchal muskaati muskaati goori ka mukhra mehtaab
bath jhar kay pairoon mein at'ka peela sa ik patta chand
dukh ka darya skh ka sagar iss kay dam say daikh liyeah
hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand
jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
yeah kanta jo humain chubha hai kaash tujhay bhi chubhta chand
roshniyoon ke peeli kirchain, poorab pacham phail gaieen
tu nay kis shay kay dhookay mein pathar pay day tapka chand
hum nay tu dono ko daikha, dono he bay dard khathoor
dharti walla, anbar walla, pehla chand aur dooja chand
chand kissi ka ho nahi sakta, chand kissi ka hota hai ?
chand ke khatir zid nahi kartay, aye mairay achay insha chand *

sajjad85 29.03.09 - 04:42am
Insha Jee Bohat Din Beet Chukay
insha jee bohat deen beet chukay
tum tanha tha, tum tanha hoo
yeah joog bajoog tu theek nahi
yeah roog kissi ka acha ho ?
kabhi poorab mein, kabhi pacham mein
tum purwa ho, tum pachwa hoo?
jo nagri nagri bhatkaye
aya bhi na mun mein kanta ho
kaya aur sabhi choonchal yahaan ?
kaya aik tumhee yahaan dukhiya ho
kaya aik tumhee par dhoop karee
jab sab par sukh ka saya hoo
tum kiss jungal kay phool miyaan
tum kis bagiyaa ka bayla ho ?
tum kis sagar ke lehar bhala
tum kis badal ke barkha ho ?
tum kis ponam ka ujayaara
kis andhee rain ke oosha hoo
tum kin hathoon ke mehandi ho
tum kis mathay ka teeka ho
kiyon shehar taja, kiyon jog liya
kiyon wehshi ho, kiyon ruswa ho
hum jab daikhain behroop naya
hum kaya jannain tum kaya kaya ho ?
jab soraj doobay sanjh bhaye
aur phail raha andhayara ho
kissi saaz ke lay par jhan'an jhan'an
kissi geet ka mukhra jaga hoo
iss taal pay nachain pairoon mein
aik chup chup behtee nadiya hoo
ho charoon koot sughandh basee
jeevan jangal pehna gajra hoo
yeah ambar kay mukh ka anchal ho
iss anchal ka rung ooda ho
ik goot ro'pehlay taroon kee
aur beech sunehra chanda hoo
iss sundar sheetal shaant samay
haan bolo bolo phir kaya ho ?
woh jis ka milna na mumkin
woh mil jaye tu kaisa hoo ?
kiyon aisay sapnay daikhtay hoo
insha jee tum aap bhi sapna ho
ik beetain likhtay shayar hoo
ik geet ugalte beena hoo
yeah battain mein mein woh sochay
jo kaya batlyain kaisa ho ?
woh jiss kay hat mei kismat kee
aik lambee gehree raikha hoo
woh shakhas puranay qisoon kaa
ik mud'mata shehzada hoo
jo shehar ka rasta bhoola ho
aur jungal mein aa nikla hoo
woh raja kaashi nagree ka
woh wali'e bulkh o bukhara ho
kuch uss kay taj pay kalghee ho
kuch uss ka chand sa chehra ho
woh malik mehal ataariyoon ka
woh roppay soonay walla hoo
ya koye anookha gunn walla
woh jiss ka jug mein charcha ho
ya koyee sajeela banjara
jo nagri nagri ghooma hoo
hum nugri nugri ghoomay tu
jab niklay thay awara hoo
woh landon ho, woh paris ho
woh barlun ho, woh roma ho
woh kabul ho, woh lanka ho
woh sahil seen o rayan ho
ya sahit e neel o dajla ho
woh jeen ka daish washaal kaheen
ya pucham dais amrica ho
woh chooti fuji yama kee
ya ulpus ka barpad ooncha ho
woh chattain gulabi laydan ke
ya neela aab janeva ho
din astanbool ke galiyoon mein
ya sab ke sair praha hoo
kuch sourattain theen, kuch mortain theen
kauch aur bhi shaid daikha ho
jahaan nazrain thereen theetki hoon
jahaan dil ka kanta atka hoo
par hum ko tu kuch yaad nahi
kuch khoya ho, kuch paya ho
in batoon mein, in ghatoon mein
sajoog ka koye lamha ho
hum apnay jo khud aap nahee
phir bolo koun humara hoo
youn samjhoo shehar saraye mein
shab bhar kay liyeah koye utra ho
koye pardaisi, koyee saylaani
woh jis ka door thikana ho
shaam aye sawairay koch kiya
jab dhundhla dhundla rasta ho
jab dhartee sooni sooni hoo
jab anbar pheeka pheeka hoo
aik alam tha, kaya alam tha
woh sacha hoo, ya jhoota hoo
hum apnay aap mein doob gaye
khud pathar ban, khud darya hoo
jeevan ghaas ka tinka jungle
jeevan andhi mein koye pata ho
hum kis say kahain, kis toor kahain
koye baat humaree samjha hoo!
hum uss say millain jo apna hoo
hum uss say kahain jo hum sa ho
jab yeah bhi nahi, jab woh bhi nahi
kaya baat banay, kaya rasta hoo
iss zindaan mein koye rozan ho
iss gunbad mein darwaza ho
aye jogi, aye darwaish qavi
kiyon umaar ganwaye ramta ho
kiyn tun pay rakh bhaboot mallay
tu gorakh naat ka cheela hoo
ya porab pucham kuch bhi nahi
yeah joog bajoog bhi dhooka hoo
jo tujh say juda sab maya hai
ya apnay ko gar pana hoo
kiyon aur pay jee ko rujhata hai
yeah peet ke reet tu phanda ho
jo hara jaan say haar gaya
jo jeeta woh bhi ruswa ho
dhooni na rama, basram na kar
bus alakh jaga kar chalta ho
tu apna reh, tu apna ban
tu insha hai, tu insha hoo *

sajjad85 29.03.09 - 04:52am
Dil hijr ke dard say bojhal hai ab aan milo to behtar ho...
dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
iss baat say hamko kya matlab ye kaise ho, ye kyunkar ho
ik bheek ke dono kaasey hein, ik pyas ke dono pyaley hein
ham kheti hein tum badal ho, ham nadya hein tum sagar ho
ye dil hai ke jalte seene mein aik dard ka phora alhar sa
na geet rahey na phoot bahey, koi marham ho koi nishtar ho
ham sanjh samey ki chaya hein, tum charhti raat ki chandarma
ham jatey hein tum aatey ho, phir mail ki surat kyunkar ho
ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khali hai
chal basti mei banjara ban, chal nagri mein sodagar ho
wo raatein chand ke saath gayeein, woh baatein chand ke saath gayeein
ab sukh ke sapne kya dekhein jab dukh ka suraj sar par ho
ab insha ji ko bulana kya, ab pyar ke deep jalana kya
jab dhoop aur chaya aik se hon, jab din aur raat barabar ho.. *

sajjad85 29.03.09 - 05:02am
Faro-guzasht
dard ruswa na tha zamane main
dill ki tanhaiyoo.n main basta tha
harf-e na-gufta tha fasana-e dill
aik din jo unhain khayyal aaya
poch betheyudaas kyu ho tum
bas yoon hi, muskura k main nay kaha
dekhtey dekhtey sar-e mushgaa.n
aik ansoo magar dhalak aaya
ishq norus tha.... khaam kar tha dill
baat kuch bhi na thi magar humdam
abb mohabbat ka wo nahi alam
aap hi aap sochta hon main
dill ko ilzaam dey raha hon main
dard bewaqt ho gaya ruswa
aik ansoo tha, pee lya hota
husn mohtaat ho gaya us din
ishq touqeer kho gaya us din
haayy kyu itna be-qarar tha dill *

sajjad85 29.03.09 - 05:05am
Daikh Humaari Deed K Karan
daikh humari deed k karan kaisa qabil-e deed howa
aik sitara baithey baithey tabish main khursheed howa
aaj tu jaani rasta takte, shaam ka chaand padeed howa
tu nay tu inkaar kya tha, dill kab na-ummeed howa
aan k is bemaar ko dekhey, tujh ko bhi toufeeq hoi?
lub per us k naam tha tera, jab bhi dard shadeed howa
haan us nay jhalki dikhlaai, aik hi pal ko dareechey main
jaano ik bijli lehraai, aalam aik shaheed howa
tu nay hum sey kalam bhi chora, arz-e wafa k suntey hi
pehley koun qareeb tha hum sey, ab tu aur baeed howa
duniya k sab karaj c y, naam pe terey Insha nay
aur isey kya t y ghum thay? tera ghum mazeed howa *

sajjad85 29.03.09 - 05:13am
Yeh Battain Jhooti Battain Hain
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
hain lakhoo roog zamanay mein, kiyon ishq hai ruswa bay'chara
hain aur bhi wajhain wehshat ke, insaan ko rukhteen dukhyaara
haan bay kal bay kal rehta hai, hoo peet mein jiss nay jee haara
par shaam say lay subah talak youn koun phiraay ga awaara ?
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
yeh baat ajeeb sunatay hoo, woh duniya say bay'aaas howay
ik naam suna aur ghush khaya, aik zikar pay aap udaas howay
woh ilam mein aflatoon sunay, woh shair mein tulsi daas howay
woh tees baras kay hotay hain, woh BA MA paas howay
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
gar ishq kiya hai tab kaya hai, kiyon shaad nahi abaad nahi
jo jaan liyeah bin tal na sakkay, yeah ayeesi bhi aftaad nahi
yeah baat tu tum bhi manoo gai, woh qais nahi farhaad nahi
kaya hijar kar daroo mushkil hai ? kaya visal kay nushkhay yad nahi
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
woh larki achi larki hai, tum naam na loo hum jaan gai
woh jiss kay lambay gaisoo hain, pehchaan gai pehchaan gai
haan sath humaray insha bhi uss ghar mein thai mehman gai
par uss say tu kuch baat na kee, anjaan rahay anjaan gai
yeah battain jhooti battain hain, yeah logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee soodayee hain
*
jo hm say kaho hum kartay hain, kaya insha ko samjhana hai ?
uss larki say bhi keh layain gai, goo ab kuch aur zamana hai
ya choorain ya tukmeel karain, goo ab kuch aur zamana hai
yeh kaisa goorukh dhunda hai, yeah kaisa tana bana hai
yeah battain kaisi battain hain, jo logoon nay phaylaye hain
tum insha jee ka naam na loo, kaya insha jee sodaaye hain ? *

sajjad85 29.03.09 - 05:18am
sab ko jee k daagh dikhay, aik tumhi ko dikhla na sake

sab ko jee k daagh dikhaay, aik tujhi ko dikha na sake
tera daman door nahi tha, haath humain phaila na sake
tu aay dost kahan lay aaya chehra ye khursheed misaal
seene main aabad karain gai, ankhoo.n main tu sama na sake
na tujh sey kutch hum ko nisbat, na tujh ko kutch hum sey kaam
hum ko ye maloom tha lakin dill ko ye samjha na sake
abb tujh sey kis munh sey kah dain saat samander paar na ja
beech ki ik dewaar bhi hum tu phaand na paay dhaa na sake
mun paapi ki ujri khaiti sookhi ki sookhi hi rahi
umdey badal, girjey badal, bondain do barsa na sakey *

sajjad85 4.04.09 - 12:34pm
Sukh Chaho Tu
Farsh pe bethey ik jogi nay arsh k chand pe hara jee
sher humarey sun'ney waloo.n.... rakhiyo jaan sey piyara jee
har basti har ghar per chanchal chand nay chehra chamkaya
is jogi k hisse main per ghor undhaira hi aaya
matwaloo.n nay sapnoo.n k tagoo.n ki chadar phailaai
ujiyara tu kya milta... jag nay tehrayaa sodaai
yaaroo.n nay so so jatanoo.n sey samjhaya nakaam howe
jogi je daman hi daman phailaay bad-naam howe
door ufaq per chanda pal bhar thitka, hans kar doob gaya
Insha (haan wo ramta jogi) duniya sey mahjoob gaya
abb logo batlaao...sukh main achcha ya dukhiyara jee?
sukh chacho tu peet na kejiyo.....rakhiyo jaan sey piyara jee *

sajjad85 11.08.09 - 05:17am
Kal chaudhavin ki raat thi, shab bhar raha charcha tera
Kuchh ne kaha ye chaand hai, kuchh ne kaha chehra tera
--------
Ham bhi wahin maujood the, hamse bhi sab poochha kiye
Ham hans diye, ham chup rahe, manzoor tha parda tera
--------
Is shehr mein kisse milein, han se to chhooti mehfilein
Har shakhs tera naam le, har shakhs deewana tera
--------
Kooche ko tere chhod kar jogi hi ban jaaein magar
Jangal tere, parbat tere, basti teri, sehra tera
--------
Ham aur rasm-e-bandagi aashuftagi? Uftaadgi?
Ehsaan hai kya-kya tera, ai husn-e-beparwa tera
--------
Do ashq jaane kiske liye, palkon pe aa kar tik gaye
Altaaf ki bearish teri, ikraam ka darya tera
--------
Ai bedareeg-o-beamaan, hamne kabhi ki hai fughaan?
Hamko teri wehshat sahi, hamko sahi sauda tera
--------
Ham par ye sakhti ki nazar? Ham hein faqeere rehguzar
Rasta kabhi roka tera? Daaman kabhi thama tera?
--------
Haan-haan teri soorat haseen, lekin to aisa bhi nahin
Is shakhs ke ashaar se shohraa hua kya-kya tera
--------
Bedard sunni ho to chal, kehta hai kya achhi ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shaair tera insha tera *


* Reply
* CoLoUrS-oF-LiFe Forum


Search:
topics replies


* CoLoUrS-oF-LiFe

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store